
Ghazal | Umr ki sari thakan laad ke ghar jata hun | Urdu Shayari
********
Umr ki sari thakan laad ke ghar jaata hun,
Raat bistar pe main sota nahi mar jaata hun.
*
maine jo apne khelaf aaj gawaahi di hai,
Wo tere haque mein nahi hai to mukar jaata hun.
*
Aksar auqaat bhare shaher ke sannate mein,
Is qadar zor se hansta hun ki dar jaata hun.
*
Mere aane ki khabar sirf diya rakhta hai,
Main hawaon ki tarah aa ke guzar jaata hun.
*
dil thaher jata hai bhooli hui manzil me kabhi,
Main kisi dosre raste se guzar jaata hun.
*
Simta rahta hun hun bahot halqa-e-ahbab me main,
Chaar deewari mein aate hi bikhar jaata hun.
*******
Urdu Ghazal, Urdu Shayari
*******
عمر کی ساری تھکن لاد کے گھر جاتا ہوں
رات بستر پہ میں سوتا نہیں مر جاتا ہوں
*
میں نے جو اپنے خلاف آج گواہی دی ہے
وہ ترے حق میں نہیں ہے تو مکر جاتا ہوں
*
اکثر اوقات۔۔۔۔ بھرے شہر کے سناٹے میں
اس قدر زور سے ہنستا ہوں کہ ڈر جاتا ہوں
*
میرے آنے کی خبر صرف دیا رکھتا ہے
میں ہواؤں کی طرح آ کے گزر جاتا ہوں
*
دل ٹھہر جاتا ہے بھولی ہوئی منزل میں کہیں
میں کسی دوسرے رستے سے گذر جاتا ہوں
*
سمٹا رہتا ہوں بہت حلقہء احباب میں،مَیں
چار دیواری میں آتے ہی بکھر جاتا ہوں
*******
*******
I have checked your website and i have found some
duplicate content, that’s why you don’t rank high in google, but there is a tool that can help you to create 100% unique articles, search for; Boorfe’s tips unlimited content