Urdu Shayari – Two line
*****
Mere alfaz be asar hain,
Thahro! dhandkane sunata hun.
*****
*****
Mere alfaz be asar hain,
Thahro! dhandkane sunata hun.
*****
Ek ladka tha, jo hansta tha chhoti-chhoti baaton par,
Magar ye baat purani hai, jaane kitne saalon ki.
Zindagi ki aakhri karwat thi maut,
Zindagi karwat badal kar rah gai.
Mera gunaah zyada hai ya teri Rahmat,
Kareem tu hi bata de hisab kar ke mujhe.
********
Umr ki sari thakan laad ke ghar jaata hun,
Raat bistar pe main sota nahi mar jaata hun.
*
maine jo apne khelaf aaj gawaahi di hai,
Wo tere haque mein nahi hai to mukar jaata hun.
*
Aksar auqaat bhare shaher ke sannate mein,
Is qadar zor se hansta hun ki dar jaata hun.
*
Mere aane ki khabar sirf diya rakhta hai,
Main hawaon ki tarah aa ke guzar jaata hun.
*
dil thaher jata hai bhooli hui manzil me kabhi,
Main kisi dosre raste se guzar jaata hun.
*
Simta rahta hun hun bahot halqa-e-ahbab me main,
Chaar deewari mein aate hi bikhar jaata hun.
*******
Urdu Ghazal, Urdu Shayari
*******
عمر کی ساری تھکن لاد کے گھر جاتا ہوں
رات بستر پہ میں سوتا نہیں مر جاتا ہوں
*
میں نے جو اپنے خلاف آج گواہی دی ہے
وہ ترے حق میں نہیں ہے تو مکر جاتا ہوں
*
اکثر اوقات۔۔۔۔ بھرے شہر کے سناٹے میں
اس قدر زور سے ہنستا ہوں کہ ڈر جاتا ہوں
*
میرے آنے کی خبر صرف دیا رکھتا ہے
میں ہواؤں کی طرح آ کے گزر جاتا ہوں
*
دل ٹھہر جاتا ہے بھولی ہوئی منزل میں کہیں
میں کسی دوسرے رستے سے گذر جاتا ہوں
*
سمٹا رہتا ہوں بہت حلقہء احباب میں،مَیں
چار دیواری میں آتے ہی بکھر جاتا ہوں
*******
*******
Mujhko takleef mein do ghoont pila kar paani,
us ne phir mere tadapne ka tamasha dekha.
*****
Ishq sadique hai to aqeeda rakh,
Yaar ke gham saza nahi hote.
*****
Haaye wo log jinke aane ka,
Hashr tak intezar hota hai.
*****
Qaatil ki ye daleel, munsif ne maan li,
Maqtool khud gira tha, khanjar ki nok par.
*****
Hum maante hain aap bahot ghamgusaar hain,
Lekin ye aasteen mein kya hai dikhaaiye.
*****
Tu samjhta hai tere hi gham moatbar hain,
Tune dekha hi kahan hai mujhe sham ke baad.
*****
Tumne maangi nahi sath duaayen mere,
Baat bigdi hui, Aameen! se ban sakti thi.
*****
Hausle ko barha liya aakhir,
Dard par ekhteyar tha hi nahi.
*****
Shaam tak subah ki nazron se utar jaate hain,
Itne samjhauton pe jeete hain, ke mar jaate hain.
*****
Maut bhi haath mal kar rah gai hogi,
Aisi kuchh zindagi guzaar gya main.
*************
*************
December Jab Se Aaya Hai Mere Khaamosh Kamre Mein,
Mere Bistar Pe Bikhri Sab Kitaaben Bheeg Jaati Hai.
*****
दिसम्बर जब से आया है मेरे खामोश कमरे में
मेरे बिस्तर पे बिखरी सब किताबें भीग जाती हैं |
*****
دسمبر جب سے آیا ہے میرے خاموش کمرے میں
میرے بستر پی بکھری سب کتابیں بھیگ جاتی ہیں
*****
Mujhse poochho kabhi taqmeel na hone ki chubhan,
Mujhpe beete hain kai saal December ke baghair.
*****
मुझ से पूछो कभी तकमील न होने की चुभन
मुझ पे बीते हैं कई साल दिसम्बर के बग़ैर |
*****
مجھ سے پوچھو کبھی تکمیل نہ ہونے کی چبھن
مجھ پہ بیتے ہیں کئی سال دسمبر کے بغیر
*****
Yaadon ki shaal orh ke aawara gardiyaan,
kaati hain hum ne yun bhi december ki sardiyaa.
*****
यादों की शाल ओढ़ के आवारा गरदियाँ
काटी हैं हम ने यूँ भी दिसम्बर की सर्दियाँ |
*****
یادوں کی شال اوڑھ کے آوارہ گردیاں
کاتی ہیں ہم نے یوں بھی دسمبر کی سردیاں
*****
*****
Mujhe ab farq nahin parta, December ke beet jane se,
Udaasi meri fitrat hai, ise mausam se kya matlab.
*****
मुझे अब फर्क नहीं पड़ता दिसंबर के बीत जाने से
उदासी मेरी फितरत है इसे मौसम से क्या मतलब |
*****
مجھے اب فرق نہیں پڑتا دسمبر کے بیت جانے سے
اداسی میری فطرت ہے اسے موسم سے کیا مطلب
*****